तस्कीने दिले मेह्ज़ूं न हुई ,वो सईए करम फर्मा भी गये
इस सईए करम को क्या कहिये,बेहला भी गये तड्पा भी गये
हम अर्ज़े वफा भी कर न सके ,कुछ कह न सके,कुछ सुन न सके
यां हमने ज़ुबां ही खोली थी ,वां आंख झुकी ,शर्मा भी गये
ये रंग ए बहारे आलम है क्यों फिक्र है तुझको ऎ साक़ी
मेहफिल तो तेरी सूनी न हुई ,कुछ उठ भी गये ,कुछ आ भी गये
रुदादे गमे उल्फत उनसे, हम क्या केह्ते ,क्यूं कर केहते
एक हर्फ ना निकला होठों से ,और आंख में आंसू आ भी गये
उस मेहफिले कैफो मस्ती में ,उस अंजुमने इरफानी में
सब जाम बक़फ बैठे ही रहे ,हम पी भी गये छलका भी गये
Taskeen-E-Dil-E-Mahzoo Na Hui, Woh Saay-E-Qaram Farma Bhi Gaye
Us Saay-E-Qaram Ka Kya Kahiye, Behla Bhi Gaye Tadpa Bhi Gaye
Taskeen = Peace or Contentment; Mahzooz = Delighted; Saay-E-Qaram = Futile Efforts of Kindness
Ek Arz-E-Vafa Bhi Kar Na Sake, Kuchh Keh Na Sake, Kuchh Sun Na Sake
Yahan Hum Ne Zubaan Hi Khole Thi, wahan Aankh Jhuki Sharma Bhi Gaye
Arz-E-Vafa = Tale Of Love
Ashuftagi-E-Vehashat Ki Qasam, Hairat Ki Qasam Hasrat Ki Qasam
Ab Aap Kahe Kuch Ya Na Kahe, Hum Raaz-E-Tabassum Paa Bhi Gaye
Ashuftagi = Misery; Vahashat = Loneliness; Tabassum = Smile
Rudaad-E-Gham-E-Ulfat Unse, Hum Kya Kehte Kyun Kar Kehte
Ek Harf Na Nikla Hothon Se, Aur Aankh Mein Aansoo Aa Bhi Gaye
Rudaad = Story; Ulfat = Love; Harf = Syllable
Arbaab-E-Junoon Pe Furqat Mein, Ab Kya Kahiye Kya Kya Guzaara
Aaye The Savaad-E-Ulfat Mein, Kuch Kho Bhi Gaye Kuch Paa Bhi Gaye
Arbaab = Friends; Junoon = Passion; Furqat = Absence (of Lovers)
Yeh Rang-E-Bahaar-E-Aalam Hai, Kya Fiqr Hai Tujh Ko Aye Saaqi
Mehfil To Teri Suni Na Hui, Kuch Uth Bhi Gaye Kuch Aa Bhi Gaye
Is Mehfil-E-Kaif-O-Masti Mein, Is Anjuman-E-Irfaani Mein
Sab Jaam-Ba-Kaf Baithe Rahe, Hum Pee Bhi Gaye Chalka Bhi Gaye
Kaif = Intoxication; Anjuman-E-Irfaani = Gathering For Wisdom; Jaam-Ba-Kaf = Hands holding glasses of Wine (Ba-Kaf = Hands filled with)
The below sequence from the movie Pyaasa shows Majaaz reciting the Ghazal above.The old man is Jigar Moradabadi.